BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Wednesday 26 August 2009

safar

yeh zindagi ka saafar hai toh bada ajeeb,
kabhi apne ho jate hai itne door,
aur kabhi paraye itne kareeb...
yuhi chal rahee thi zindagi,
thodi khali , thodi berang...
par waqt har baar ki tarah phir badla,
laga is bheed ki tanhai mein
kisi ne mera haath thama,
mushkil hai karna iss baat par yakeen
ki meri zindagi ka har lamha bhi ho sakta hai itna hassen,
ek dost bankar pyaar diya tumne
ek sage rishte se jyaada saath nibhaya tumne
dekhe to hai zindagi ke kaii rang kabhi hazaroo khushiya , toh kabhi lakho gum
tabhi har lamha tumhare saath lagta hai bahut kam
kya kehna chahti hu pata nahi
kaise kahu maalum nahi
baatein bahut si hai kehne ko par lafzz nahi milte
koshish karne par bhi hont nahi hilte
kaise meri kismat itni badal gayi
jaha annkho mein rehti hi nammi aaj ek umeed jaag gayi
aaj mein zindagi ko jeena chati hun
har lamha yadgaar bana chati hun
par zindagi ka waqt raha gaya hai bahut thoda
or yeh saafar tumhaare bina na mumkin hai or na hoga ...........

josmin

(2006)